Dil se ek baar iqrar to kiya hota
Labon ne labon kaa dedar to kiya hota
Hum ho jatey diwane us zulfe pareshan ke
Bus ek baar hamari taraf rukhsar to kiya hota
Jahan mein aur bhi thein mastiyan tere bagair
Sirf tune wafa ka inkar to kiya hota
Chupa tha nasha nainon k us isharrey mein
tune us jam-e-mei ka talabgar to kiya hota
Chod aatey apni kashtiyon ko bhanvar mein phansa
Kabhi apni adaon ka gunehgar to kiya hota…
Jagey they raat bhar k tu aayege baad-e-saba bankar
Par tu kahan gayi e zindagi mera intezar to kiya hota
(Burhan Uddeen Shibli)
Sunday, February 21, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
VERY NICE..KEEP UP THE GOOD WORK
ReplyDeletegr8 write up...bohot umda dost...tumne aligarh k din yaad dila diey...
ReplyDeletehey real nice poem...keep up the gud work..cheers
ReplyDeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDelete